karan-ta-karan
jo maza chāhat meñ hai
hāsil meñ us ko DhūñDhnā be-kār hai
ho kahāñ tum kis jahāñ meñ
kyuuñ mujhe ma.alūm ho?
dhund meñ ho ḳhvāb meñ
yā āsmāñ kī qaus meñ
yā mauj kī gardish meñ ho
tum haath kī rekhā ke andar ho kahīñ
yā duur sannāToñ ke Takrāv se paidā
an-sunī āvāz kī rezish meñ ho
chāhe kahīñ bhī ho
mirī chāhat ke phaile bāzuoñ ke
halqa-e-mauhūm meñ maujūd ho!
lams meñ hiddat bahut hai
aur sitāroñ kī chubhan kā bhī mujhe ehsās hai
band muTThī meñ dabe motī
kī lazzat se bhī huuñ maiñ āshnā
par bayāñ kaise karūñ
vo lutf jo chāhat kī phailī boss kī
mad.hosh-kun ThanDak meñ hai
chāhat ke har dam
phailte āfāq kī larzish meñ hai!!
jo maza chahat mein hai
hasil mein us ko DhunDhna be-kar hai
ho kahan tum kis jahan mein
kyun mujhe malum ho?
dhund mein ho KHwab mein
ya aasman ki qaus mein
ya mauj ki gardish mein ho
tum hath ki rekha ke andar ho kahin
ya dur sannaTon ke Takraw se paida
an-suni aawaz ki rezish mein ho
chahe kahin bhi ho
meri chahat ke phaile bazuon ke
halqa-e-mauhum mein maujud ho!
lams mein hiddat bahut hai
aur sitaron ki chubhan ka bhi mujhe ehsas hai
band muTThi mein dabe moti
ki lazzat se bhi hun main aashna
par bayan kaise karun
wo lutf jo chahat ki phaili boss ki
madhosh-kun ThanDak mein hai
chahat ke har dam
phailte aafaq ki larzish mein hai!!
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 73)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Room No.-1,1st Floor, Awan Plaza, Shadman Market, Lahore (Issue No. 4, Jan To Mar.1998)
- Edition : Issue No. 4, Jan To Mar.1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.