ik hujūm-e-be-karāñ
shahar kī saḌkoñ pe galiyoñ meñ ravāñ
din ke hañgāmoñ ko rakhtā hai javāñ
ek jānib silsila-e-hā-e-imārāt-e-buland
jin ke mīnāre falak se mil ga.e haiñ jā-ba-jā
shahar kī satvat ke azmat ke nishāñ
dūsrī jānib hai bosīda makānoñ kī qatār
muddatoñ se gardish-e-lail-o-nahār
hai us ābādī meñ jin kī nauha-ḳhvāñ
ai karachi ai nigār-e-jāñ-sitāñ
go tire ruḳh par khulī hai chāñdnī
terī galiyoñ meñ añdherī raat hai
ek hujum-e-be-karan
shahar ki saDkon pe galiyon mein rawan
din ke hangamon ko rakhta hai jawan
ek jaanib silsila-e-ha-e-imaraat-e-buland
jin ke minare falak se mil gae hain ja-ba-ja
shahar ki satwat ke azmat ke nishan
dusri jaanib hai bosida makanon ki qatar
muddaton se gardish-e-lail-o-nahaar
hai us aabaadi mein jin ki nauha-KHwan
ai karachi ai nigar-e-jaan-sitan
go tere ruKH par khuli hai chandni
teri galiyon mein andheri raat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.