karachi ki laDki
maiñ karachi kī rahne vaalī huuñ
ik samundar yahāñ pe bahtā hai
is samundar kī maiñ bhī maahī huuñ
ishq kī raah kī maiñ raahī huuñ
merī manzil hai is kī ḳhāmoshī
merī āvāz vo samajhtā hai
us kī maujoñ se āshnā huuñ maiñ
us kī lahreñ bhī jāntī haiñ mujhe
maiñ yahāñ roz shaam aatī huuñ
apne ġham kā bayān karne ko
ye mirā hāl-e-dil bhī suntā hai
aur mujhe apnī bhī sunātā hai
ham yahāñ pahroñ baat karte haiñ
shikva-e-kā.enāt karte haiñ
main karachi ki rahne wali hun
ek samundar yahan pe bahta hai
is samundar ki main bhi mahi hun
ishq ki rah ki main rahi hun
meri manzil hai is ki KHamoshi
meri aawaz wo samajhta hai
us ki maujon se aashna hun main
us ki lahren bhi jaanti hain mujhe
main yahan roz sham aati hun
apne gham ka bayan karne ko
ye mera haal-e-dil bhi sunta hai
aur mujhe apni bhi sunata hai
hum yahan pahron baat karte hain
shikwa-e-kaenat karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.