karam yogi
karam yogī hai
paikar-e-jism meñ rahtā hai
mire saath
us kī āvāz mire dil se nikal kar
phūñktī hai mirī ruuh meñ naġhmoñ kā ḳhumār
phuul khilte haiñ sitāroñ ke mire āñgan meñ
merī sakhiyāñ merī hamjoliyāñ aatī haiñ mujhe milne
to vo mil baiThtā hai
us kī āsūdagī-e-dil dar-o-dīvār se bāhar
kisī mahkī huī ḳhushbū kī tarah phailtī hai
phail kar chūmtī hai har kas-o-nā-kas ke qadam
kyā karūñ dil mirā dīvāna hai
paikar-e-jism meñ rahtā huā yogī hai vafā kī tasvīr
apnī ta.abīr ko ḳhvāboñ meñ basā letī huuñ
koī āzurda-badan koī ḳhizāñ-dīda chaman
us kī phailī huī ḳhushbū se agar jaag uThe
to mujhe ġham hotā hai
karam yogi hai
paikar-e-jism mein rahta hai
mere sath
us ki aawaz mere dil se nikal kar
phunkti hai meri ruh mein naghmon ka KHumar
phul khilte hain sitaron ke mere aangan mein
meri sakhiyan meri hamjoliyan aati hain mujhe milne
to wo mil baiThta hai
us ki aasudagi-e-dil dar-o-diwar se bahar
kisi mahki hui KHushbu ki tarah phailti hai
phail kar chumti hai har kas-o-na-kas ke qadam
kya karun dil mera diwana hai
paikar-e-jism mein rahta hua yogi hai wafa ki taswir
apni tabir ko KHwabon mein basa leti hun
koi aazurda-badan koi KHizan-dida chaman
us ki phaili hui KHushbu se agar jag uThe
to mujhe gham hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.