karmon ka phal
hamāre karmoñ kā phal hamāre sāmne hai
bhaa.ī nekī karnā paap hai
tum ne nahīñ sunā ki ye agle vaqtoñ kī baat hai
tum ko duniyā meñ rahne kā Dhab kab aa.egā jañgalī
saare naate ḳhushbuoñ kī tarah nahīñ hote
in meñ daldaloñ kī bisāñd bhī hotī hai
muaaf karnā yā muāfī māñgnā koī achchhā fe.al nahīñ hai
muāfī bhalā kis kis baat kī
umr saarī guzar jā.egī aur ek baat kī talāfī bhī na ho pā.egī
phir tez raftār duniyā meñ
kis kis kā dāman pakḌoge
dāman to ḳhud havā ho gayā hai
phir havā ko muTThī meñ band karo
nahīñ bakvās
tum sīdhī-sādī zindagī guzāro ummīd ko kaalī sandal se itnā maaro ki
surḳh chāñdnī
kaalī siyāh raat kī tarah hamāre dukhoñ ko apne dāman meñ sameT le
hamare karmon ka phal hamare samne hai
bhai neki karna pap hai
tum ne nahin suna ki ye agle waqton ki baat hai
tum ko duniya mein rahne ka Dhab kab aaega jangali
sare nate KHushbuon ki tarah nahin hote
in mein daldalon ki bisand bhi hoti hai
muaf karna ya muafi mangna koi achchha feal nahin hai
muafi bhala kis kis baat ki
umr sari guzar jaegi aur ek baat ki talafi bhi na ho paegi
phir tez raftar duniya mein
kis kis ka daman pakDoge
daman to KHud hawa ho gaya hai
phir hawa ko muTThi mein band karo
nahin bakwas
tum sidhi-sadi zindagi guzaro ummid ko kali sandal se itna maro ki
surKH chandni
kali siyah raat ki tarah hamare dukhon ko apne daman mein sameT le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.