kartik
paanī meñ aks dekhā
jañgal meñ raqs dekhā
sūraj libās pahne
chandā se ziyāda ThanDā
us raat ā.īne meñ
ik aisā shaḳhs dekhā
chāñdnī ke rath par saj ke
us shaḳhs kī savārī
ab ho rahī hai dekho
sū-e-ufuq ravāna
ab lā.egī vahāñ se
kuchh dard kā ḳhazāna
un manzaroñ se haT ke
jharne ke shor-o-shar meñ
ham ne nahāte dekhī
ik huur be-hijābī
chāñdnī ke bahr o bar meñ
kārtik kī ḳhvāb-nākī āñkhoñ ke do-jahāñ tak
kātik kī chandrmā.ī sapnoñ ke lā-makāñ tak
ai lā-makāñ makānī
sun ke sadā kisī kī
juuñ pīchhe muḌ ke dekhā
vaañ duur koh-e-dil kī nam nam sī lakḌiyoñ kā
birhan sā ḳhūb-sūrat choTī pe ik makāñ thā
lekin vo jal rahā thā
kātik kī chāñdnī meñ!
pani mein aks dekha
jangal mein raqs dekha
suraj libas pahne
chanda se ziyaada ThanDa
us raat aaine mein
ek aisa shaKHs dekha
chandni ke rath par saj ke
us shaKHs ki sawari
ab ho rahi hai dekho
su-e-ufuq rawana
ab laegi wahan se
kuchh dard ka KHazana
un manzaron se haT ke
jharne ke shor-o-shar mein
hum ne nahate dekhi
ek hur be-hijabi
chandni ke bahr o bar mein
kartik ki KHwab-naki aankhon ke do-jahan tak
katik ki chandrmai sapnon ke la-makan tak
ai la-makan makani
sun ke sada kisi ki
jun pichhe muD ke dekha
wan dur koh-e-dil ki nam nam si lakDiyon ka
birhan sa KHub-surat choTi pe ek makan tha
lekin wo jal raha tha
katik ki chandni mein!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.