kasak
tire dil meñ ġhaltāñ ho gar vo anokhī kasak
ki jis ke sabab tujh ko har shai pukāre, kahe:
mujhe dekh merī taraf aa mujhe pyaar kar
tū lapke to har chiiz tujh se khiñche duur duur
tire dil meñ ho mauj-dar-mauj ik sail-e-dard
magar tū na samjhe kashish kyā hai duurī hai kyuuñ
faqat vo anokhī ḳhalish dil meñ ġhaltāñ rahe
havāoñ ke hāthoñ meñ betāb maujoñ ke daf
huā tesha-zan sabz sayyāl billor par
havā se dhaḌakte samundar ke sāhil pe kaf
ye āmezish-e-husn-o-ḳhauf aarzū o farār
tire dil meñ ġhaltāñ rahe vo anokhī kasak
tafāvut kabhī nit badaltī umañgoñ meñ dekh
tafāvut kabhī lahke sabze ke rañgoñ meñ dekh
kahīñ taaza koñpal meñ sabze kī halkī jhalak
kahīñ Tahnī Tahnī badaltā hai pattoñ kā aks
kabhī dhuup meñ nikhrā nikhrā hai rañgoñ kā ruup
kabhī chhāñv meñ shaam ke saa.e meñ abr meñ
sabhī rañg kuchh aur bhī gahre hote hue
tafāvut se jin kī tirī aañkh hairāñ rahe
ye hairat kashish hai kashish meñ anokhī kasak
tirī fahm kī dastaras se magar duur duur
ye mīThī rasīlī anokhī kasak ziist hai
tere dil mein ghaltan ho gar wo anokhi kasak
ki jis ke sabab tujh ko har shai pukare, kahe:
mujhe dekh meri taraf aa mujhe pyar kar
tu lapke to har chiz tujh se khinche dur dur
tere dil mein ho mauj-dar-mauj ek sail-e-dard
magar tu na samjhe kashish kya hai duri hai kyun
faqat wo anokhi KHalish dil mein ghaltan rahe
hawaon ke hathon mein betab maujon ke daf
hua tesha-zan sabz sayyal billor par
hawa se dhaDakte samundar ke sahil pe kaf
ye aamezish-e-husn-o-KHauf aarzu o farar
tere dil mein ghaltan rahe wo anokhi kasak
tafawut kabhi nit badalti umangon mein dekh
tafawut kabhi lahke sabze ke rangon mein dekh
kahin taza konpal mein sabze ki halki jhalak
kahin Tahni Tahni badalta hai patton ka aks
kabhi dhup mein nikhra nikhra hai rangon ka rup
kabhi chhanw mein sham ke sae mein abr mein
sabhi rang kuchh aur bhi gahre hote hue
tafawut se jin ki teri aankh hairan rahe
ye hairat kashish hai kashish mein anokhi kasak
teri fahm ki dastaras se magar dur dur
ye miThi rasili anokhi kasak zist hai
- Book : sar-e-shaam se pas-e-harf tak (Pg. 196)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.