kashf
maiñ apnī khoj meñ gum thī
ki maiñ kyā huuñ
azal ke hādse kā silsila huuñ
yā faqat miTTī kī mūrat huuñ
musaḳhḳhar karne vaalā zehn huuñ
ehsās kī dhīmī sajal āvāz huuñ
yā apne ḳhāliq kī
koī aisī adā huuñ
jo use ḳhud bhā ga.ī hai
tumheñ paayā to ye jaanā
ki merā bhī koī mafhūm hogā
tumheñ kho kar
mire mafhūm kī sūrat nikhar aa.ī
fishār-e-be-yaqīnī ne
vafā ke ba.ad gumbad meñ
azal ke karb kī sūrat meñ
apnī ibtidā dekhī
abad ke aa.ine meñ
intihā kā naqsh bhī dekhā
ḳhudā kā aks bhī dekhā
main apni khoj mein gum thi
ki main kya hun
azal ke hadse ka silsila hun
ya faqat miTTi ki murat hun
musaKHKHar karne wala zehn hun
ehsas ki dhimi sajal aawaz hun
ya apne KHaliq ki
koi aisi ada hun
jo use KHud bha gai hai
tumhein paya to ye jaana
ki mera bhi koi mafhum hoga
tumhein kho kar
mere mafhum ki surat nikhar aai
fishaar-e-be-yaqini ne
wafa ke baad gumbad mein
azal ke karb ki surat mein
apni ibtida dekhi
abad ke aaine mein
intiha ka naqsh bhi dekha
KHuda ka aks bhi dekha
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 501)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.