kashid shab
aaj kī raat bhī phir ḳhvāb jagā.eñ ge mujhe
phir vo karvaT se ḳhayāloñ ke tasalsul ko miTāne kī kashīd-e-koshish
jism ke dard ko silvaT meñ samo ke
vahī bistar pe taḌapte hue mahjūri-e-jānāñ ko
kabhī aah kabhī saañs kī gahrā.ī meñ shal karne kī
sa.i-e-nākām
ye bhī ma.alūm hai
ye niim rassī fahm kī dīvār talak jast
ye saa.e kī tasvīr kisī shakl-o-shabāhat ke tasalsul ke nishāñ haiñ lekin
nā-subūrī ye badan toḌtī añgḌā.iyāñ
hoñToñ pe mahaktī larzish
baat ko rabt ke āhañg meñ laane kī talab
mere siine kā dhuāñ āñkheñ sharābor kiye
har bun-e-mū ko mulāqāt kā juuyā kar de
aañkh chaḌhte hue dariyā kī tarah hai pur-āb
paañv phisle hai to phir saañs kā rishta na rahe
ham to chāheñ magar is dil ko ye achchhā na lage
jāñ-kanī had se baḌhī chāragaro kuchh to karo
aaj ki raat bhi phir KHwab jagaen ge mujhe
phir wo karwaT se KHayalon ke tasalsul ko miTane ki kashid-e-koshish
jism ke dard ko silwaT mein samo ke
wahi bistar pe taDapte hue mahjuri-e-jaanan ko
kabhi aah kabhi sans ki gahrai mein shal karne ki
sai-e-nakaam
ye bhi malum hai
ye nim rassi fahm ki diwar talak jast
ye sae ki taswir kisi shakl-o-shabahat ke tasalsul ke nishan hain lekin
na-suburi ye badan toDti angDaiyan
honTon pe mahakti larzish
baat ko rabt ke aahang mein lane ki talab
mere sine ka dhuan aankhen sharabor kiye
har bun-e-mu ko mulaqat ka juya kar de
aankh chaDhte hue dariya ki tarah hai pur-ab
panw phisle hai to phir sans ka rishta na rahe
hum to chahen magar is dil ko ye achchha na lage
jaan-kani had se baDhi chaaragaro kuchh to karo
- Book : kulliyat dusht-e-qais main laila (Pg. 186)
- Author : Kishwar Nahiid
- Publication : Sang-e-mail publication lahore (2001)
- Edition : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.