kashish
ḳhushbū kabhī jab bikhre
rajnigandha muskurāte haiñ
paimānoñ se chhalak kar
nigāhoñ meñ jhilmilāte haiñ
guzarte lamhāt
yādoñ kī katraneñ joḌ kar
collage banā lete haiñ
ḳhuub hai
ehsās kī kārīgarī
chaltī aatī hai
unhī dar-o-dīvāroñ se
guftugū karne
kashish hai koī
yā koī naata hai sadiyoñ kā
jis se gale lag kar
dam bhar ko
ḳhud ko bhulā dete haiñ
KHushbu kabhi jab bikhre
rajnigandha muskuraate hain
paimanon se chhalak kar
nigahon mein jhilmilate hain
guzarte lamhat
yaadon ki katranen joD kar
collage bana lete hain
KHub hai
ehsas ki karigari
chalti aati hai
unhi dar-o-diwaron se
guftugu karne
kashish hai koi
ya koi nata hai sadiyon ka
jis se gale lag kar
dam bhar ko
KHud ko bhula dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.