kashkol
falak ne aag barsā.ī
zamīñ ne kaaTh ke autār ugle
ġhamoñ kī bārisheñ barsīñ
charāġhoñ ne lahū uglā
chaman kī kyāriyāñ sūkhīñ
guloñ ke jism kumhlā.e
ka.ī koThe saje kitne gharoñ meñ vahshateñ jāgīñ
zarā sī jhuñjhlāhaT sab ke chehre par ubhar aa.ī
magar phir jaane kyā guzrī
ki sab ne haath meñ kashkol thāme
aur un logoñ se apnī zindagī kī bhiik māñgī
jo kal tak ḳhud unhīñ logoñ ke aage
haath phailāte rahe the
falak ne aag barsai
zamin ne kaTh ke autar ugle
ghamon ki barishen barsin
charaghon ne lahu ugla
chaman ki kyariyan sukhin
gulon ke jism kumhlae
kai koThe saje kitne gharon mein wahshaten jagin
zara si jhunjhlahaT sab ke chehre par ubhar aai
magar phir jaane kya guzri
ki sab ne hath mein kashkol thame
aur un logon se apni zindagi ki bhik mangi
jo kal tak KHud unhin logon ke aage
hath phailate rahe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.