kashmakash
dil ye bole ki bāñdh raḳht-e-safar
aur zehn aa.e beḌiyāñ ban kar
ab aziyyat tirā muqaddar hai
tū nikal jā yā dekh le ruk kar
haañ magar ek ek lamha vo
jo tū is kashmakash se guzregā
ik hasīñ baab ban ke yādoñ kā
umr bhar tere saath Thahregā
vo safar jo na tai kiyā tū ne
pyaar se baar baar chheḌegā
dil ye bole ki bandh raKHt-e-safar
aur zehn aae beDiyan ban kar
ab aziyyat tera muqaddar hai
tu nikal ja ya dekh le ruk kar
han magar ek ek lamha wo
jo tu is kashmakash se guzrega
ek hasin bab ban ke yaadon ka
umr bhar tere sath Thahrega
wo safar jo na tai kiya tu ne
pyar se bar bar chheDega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.