kashmakash
phir kisī moḌ se sañgīt kī lai aatī hai
raqs karte haiñ kahīñ sāġhar-o-mīnā jaise
nik.hat-e-gul hai kahīñ
mast gulshan hai kahīñ
mahkī mahkī hai havā
bhīnī bhīnī sī fazāoñ meñ hai ḳhushbū shāmil
ik muqaddas tanvīr
ik latāfat har sū
mujh ko lagtā hai yahī
chashm-e-raushan mirī hastī ko hai yuuñ ghere hue
jaise maañ bachche ko bāhoñ meñ jakaḌ letī hai
aur maiñ soch rahī huuñ tanhā
zehn ke band darīchoñ ko na khulne dūñgī
aur naqībān-e-mohabbat ko na labbaik kahūñgī
kab tak
kab tak
phir kisi moD se sangit ki lai aati hai
raqs karte hain kahin saghar-o-mina jaise
nikhat-e-gul hai kahin
mast gulshan hai kahin
mahki mahki hai hawa
bhini bhini si fazaon mein hai KHushbu shamil
ek muqaddas tanwir
ek latafat har su
mujh ko lagta hai yahi
chashm-e-raushan meri hasti ko hai yun ghere hue
jaise man bachche ko bahon mein jakaD leti hai
aur main soch rahi hun tanha
zehn ke band darichon ko na khulne dungi
aur naqiban-e-mohabbat ko na labbaik kahungi
kab tak
kab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.