kashmir
vādī-e-kashmīr hai yā chashma-e-qudrat hai ye
goshe goshe meñ jo bikhrī be-bahā daulat hai ye
jangaloñ ke biich meñ āb-e-ravāñ kausar-sifat
ai ḳhudā kyā is zamīñ par dūsrī jannat hai ye
barf kī dastār bāñdhe saf-ba-saf parbat yahāñ
karte haiñ hamd-o-sanā allāh kī qudrat hai ye
ḳhushnumā phūloñ meñ bhī rangoñ kā ik sailāb hai
chār-sū dilkash fazā.eñ is kī bas fitrat hai ye
ye hamārī zindagī hai ham haiñ is ke pāsbāñ
muḳhtasar itnā samajhiye mulk kī izzat hai ye
wadi-e-kashmir hai ya chashma-e-qudrat hai ye
goshe goshe mein jo bikhri be-baha daulat hai ye
jangalon ke bich mein aab-e-rawan kausar-sifat
ai KHuda kya is zamin par dusri jannat hai ye
barf ki dastar bandhe saf-ba-saf parbat yahan
karte hain hamd-o-sana allah ki qudrat hai ye
KHushnuma phulon mein bhi rangon ka ek sailab hai
chaar-su dilkash fazaen is ki bas fitrat hai ye
ye hamari zindagi hai hum hain is ke pasban
muKHtasar itna samajhiye mulk ki izzat hai ye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.