kashtiyan
banā saktā huuñ maiñ bhī ḳhūb-sūrat kashtiyāñ
lekin
umaDte hī nahīñ bādal
barastā hī nahīñ paanī
machaltī hī nahīñ naddī
banā saktā huuñ maiñ bhī ḳhūb-sūrat kashtiyāñ
lekin
na bahtā hai koī naala
na bantī hai koī kashtī
na chaltī hai koī kashtī
banā saktā huuñ maiñ bhī ḳhūb-sūrat kashtiyāñ
lekin
banānā chāhtā huuñ jab bhī koī ḳhushnumā kashtī
uḌā letā hai kāġhaz ḳhushk mausam
mere hāthoñ se
bana sakta hun main bhi KHub-surat kashtiyan
lekin
umaDte hi nahin baadal
barasta hi nahin pani
machalti hi nahin naddi
bana sakta hun main bhi KHub-surat kashtiyan
lekin
na bahta hai koi nala
na banti hai koi kashti
na chalti hai koi kashti
bana sakta hun main bhi KHub-surat kashtiyan
lekin
banana chahta hun jab bhi koi KHushnuma kashti
uDa leta hai kaghaz KHushk mausam
mere hathon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.