kasila zaiqa
ba-yak-jumbish
mirī āñkhoñ ko patthar kar diyā jis ne
vo ḳhanjar kaash
siine meñ mire paivast ho jaatā
ravāñ hai
vaqt kī saffāk mehrāboñ ke nīche
nahr-e-ḳhūñ-basta
sisaktī chīḳhtī tanhā sadāoñ kī
maiñ ab kis ke liye
ghar ke khañDar meñ ḳhvāb ghar ke dekhtā jā.ūñ
zabāñ par hai kasīlā zā.iqa tāñbe ke sikke kā
kahāñ tak har kisī ke sāmne kashkol phailā.ūñ
ba-yak-jumbish
meri aankhon ko patthar kar diya jis ne
wo KHanjar kash
sine mein mere paiwast ho jata
rawan hai
waqt ki saffak mehrabon ke niche
nahr-e-KHun-basta
sisakti chiKHti tanha sadaon ki
main ab kis ke liye
ghar ke khanDar mein KHwab ghar ke dekhta jaun
zaban par hai kasila zaiqa tanbe ke sikke ka
kahan tak har kisi ke samne kashkol phailaun
- Book : pushtara (Pg. 98)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.