kaTas
kamāl karte haiñ ishq vaale
ye dāstāñ hai qurūn-e-ūla se peshtar kī
jab ek laḌkī se devtā ne birog paayā
to āñsūoñ kā mahal banāyā
ye ishq thā so
zamīñ kī buniyād hil ga.ī thī
saḌak ke tāroñ se mil ga.ī thī
ye ishq thā so
na us ne lamhoñ se maat khaa.ī
na us ko sadiyāñ bigāḌ pā.īñ
kaTās ab bhī vahīñ khaḌā hai
har ek patthar gavāh ban kar vahīñ paḌā hai
ye ḳhaak pahle hī muztarib thī
ab aur hairān ho ga.ī hai
pujāriyoñ ke nafas kī utran
havā musalmān ho ga.ī hai
mohabbatoñ se bhare sahīfe to tāqchoñ meñ sajā diye haiñ
aqīdatoñ ne shivā ke aañsū vuzū ke qābil banā diye haiñ
nasīb vaale hī āñsūoñ se vuzū kareñge
qabā-e-girya rafū kareñge
kaTās apne hī aap meñ gum
adam se ilhāq kar rahā hai
ka.ī mazāhib kī lau jalā.e
sadā-e-ilhād kar rahā hai
aur is jhamele ke paas baiThā
koī tumheñ yaad kar rahā hai
ajab masāfat se chuur hai ye
ajiib fariyād kar rahā hai
ise nikālo ye is jagah kā
sukūn barbād kar rahā hai
kamāl karte haiñ ishq vaale
ye dāstāñ hai qurūn-e-ūla se peshtar kī jab ek laḌkī
se devtā ne birog paayā
to āñsūoñ kā mahal banāyā
kamal karte hain ishq wale
ye dastan hai qurun-e-ula se peshtar ki
jab ek laDki se dewta ne birog paya
to aansuon ka mahal banaya
ye ishq tha so
zamin ki buniyaad hil gai thi
saDak ke taron se mil gai thi
ye ishq tha so
na us ne lamhon se mat khai
na us ko sadiyan bigaD pain
kaTas ab bhi wahin khaDa hai
har ek patthar gawah ban kar wahin paDa hai
ye KHak pahle hi muztarib thi
ab aur hairan ho gai hai
pujariyon ke nafas ki utran
hawa musalman ho gai hai
mohabbaton se bhare sahife to taqchon mein saja diye hain
aqidaton ne shiwa ke aansu wuzu ke qabil bana diye hain
nasib wale hi aansuon se wuzu karenge
qaba-e-girya rafu karenge
kaTas apne hi aap mein gum
adam se ilhaq kar raha hai
kai mazahib ki lau jalae
sada-e-ilhad kar raha hai
aur is jhamele ke pas baiTha
koi tumhein yaad kar raha hai
ajab masafat se chur hai ye
ajib fariyaad kar raha hai
ise nikalo ye is jagah ka
sukun barbaad kar raha hai
kamal karte hain ishq wale
ye dastan hai qurun-e-ula se peshtar ki jab ek laDki
se dewta ne birog paya
to aansuon ka mahal banaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.