kaTba(1)
ḳhudāyā! na maiñ ne kahīñ sar jhukāyā
na duniyā meñ ehsān ab tak kisī kā uThāyā
mire sar pe jab dhuup hī dhuup thī
us ghaḌī maiñ na DhūñDā kahīñ koī saaya
to ab tū hī aa kar mirī aabrū ko bachā le
yahī ek tohfa hai
jo maiñ tire pā-e-aqdas pe rakh dūñgā
aur ye kahūñgā
yahī merī pūñjī, yahī hai kamā.ī
mujhe aur kuchh bhī atā kar na paa.ī
ye terī ḳhudā.ī
ḳhudāyā!
mirī nazr-e-be-māya ko dekh kar
jis ḳhazāne meñ is kī jagah ho
ab vahāñ par ise Daal de
KHudaya! na main ne kahin sar jhukaya
na duniya mein ehsan ab tak kisi ka uThaya
mere sar pe jab dhup hi dhup thi
us ghaDi main na DhunDa kahin koi saya
to ab tu hi aa kar meri aabru ko bacha le
yahi ek tohfa hai
jo main tere pa-e-aqdas pe rakh dunga
aur ye kahunga
yahi meri punji, yahi hai kamai
mujhe aur kuchh bhi ata kar na pai
ye teri KHudai
KHudaya!
meri nazr-e-be-maya ko dekh kar
jis KHazane mein is ki jagah ho
ab wahan par ise Dal de
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 109)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.