katba(3)
mirī qabr par ek katba to hai
par mirā naam us par nahīñ hai
mirā naam jo kuchh bhī likkhā gayā thā
vo ab miT chukā hai
ye katba safed aur saada sā hai
magar ḳhālī ḳhālī ise dekh kar
har ik aane vaalā ye kahtā hai kyā hai? ye kyuuñ hai?
batāo koī shaḳhs aisā bhī hai
mirā koī hamdard merā muāvin
jo aa.e aur aa kar mire saada katbe pe apnā bhalā sā koī naam likh de
aur koī us se pūchhe ki ai masḳhare!
tū to zinda hai, maujūd hai
phir tire naam kī qabr kaisī?
kyā koī ye tirā khel hai?
aur vo shaḳhs phir ye kahe:
tum se matlab?
ye mirī qabr hai, haañ mirī qabr hai
maiñ isī qabr meñ dafn hūñ!!
meri qabr par ek katba to hai
par mera nam us par nahin hai
mera nam jo kuchh bhi likkha gaya tha
wo ab miT chuka hai
ye katba safed aur sada sa hai
magar KHali KHali ise dekh kar
har ek aane wala ye kahta hai kya hai? ye kyun hai?
batao koi shaKHs aisa bhi hai
mera koi hamdard mera muawin
jo aae aur aa kar mere sada katbe pe apna bhala sa koi nam likh de
aur koi us se puchhe ki ai masKHare!
tu to zinda hai, maujud hai
phir tere nam ki qabr kaisi?
kya koi ye tera khel hai?
aur wo shaKHs phir ye kahe:
tum se matlab?
ye meri qabr hai, han meri qabr hai
main isi qabr mein dafn hun!!
- Book : Zindagi Ae Zindagi (Pg. 79)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.