katba(6)
merā pyārā nanhā yahāñ so rahā hai
use phuul se pyaar thā
vo ḳhud phuul thā
maiñ har sub.h aatā huuñ kuchh phuul le kar
use taaza phūloñ kī chādar se Dhak kar
chalā jaatā huuñ
taaki kal sub.h tak us kī ma.asūm ruuh
apne phūloñ kī āġhosh meñ
muskurātī rahe
mera pyara nanha yahan so raha hai
use phul se pyar tha
wo KHud phul tha
main har subh aata hun kuchh phul le kar
use taza phulon ki chadar se Dhak kar
chala jata hun
taki kal subh tak us ki masum ruh
apne phulon ki aaghosh mein
muskuraati rahe
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 112)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.