katba
mujh ko ye ehsās hai
maiñ mar gayā huuñ
TuuT kar maiñ reza reza
har taraf bikhrā huā huuñ
phir bhī ik āvāz
saa.e kī tarah
ehsās se chimTī huī hai
tum abhī zinda ho aur zinda rahoge
phir bhī maiñ ye chāhtā huuñ
mujh ko merī qabr kī sūrat banā do
aur
mere naam kā
katba lagā do
mujh ko ye ehsas hai
main mar gaya hun
TuT kar main reza reza
har taraf bikhra hua hun
phir bhi ek aawaz
sae ki tarah
ehsas se chimTi hui hai
tum abhi zinda ho aur zinda rahoge
phir bhi main ye chahta hun
mujh ko meri qabr ki surat bana do
aur
mere nam ka
katba laga do
- Book : Mukhtalif (Pg. 21)
- Author : Aslam Azad
- Publication : Azad Book centre, Patna (1986)
- Edition : 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.