katba
kal jo qabristān se lauTā
to tanhā.ī kā ik bojh uThā kar laayā
aise lagtā thā ki maiñ bujhtā diyā huuñ
aur sab log tamāshā.ī haiñ
muntazir haiñ ki mere bujhne kā manzar dekheñ
aise lagtā thā ki har gaam par khulte dahāne haiñ
mere jism ko āġhosh meñ lene ke liye
zindagī duur khaḌī hañstī rahī
qahqahoñ kā ik samundar
merī jānib mauj-dar-mauj baḌhā
shab kā sannāTā
falak-bos imārāt ke Darboñ meñ vo hilte hue saa.e
jaise marghaT kā samāñ ho
rāste naag kī mānind dahāne khole
kahīñ fōtpath pe leTe hue be-jān se jism
jin pe khambe yuuñ khaḌe the
jaise ye katbe gaḌe hoñ
phir achānak vo brakoñ kī creach
surḳh-ḳhūñ kā ek favvārā
vo ik kutte kī laash
zindagī ek tilismāt-kadā
jis kī dīvāroñ kī zīnat ke liye
lamhoñ kī rañgī titliyāñ patthar huiiñ
kal jo qabristan se lauTa
to tanhai ka ek bojh uTha kar laya
aise lagta tha ki main bujhta diya hun
aur sab log tamashai hain
muntazir hain ki mere bujhne ka manzar dekhen
aise lagta tha ki har gam par khulte dahane hain
mere jism ko aaghosh mein lene ke liye
zindagi dur khaDi hansti rahi
qahqahon ka ek samundar
meri jaanib mauj-dar-mauj baDha
shab ka sannaTa
falak-bos imaraat ke Darbon mein wo hilte hue sae
jaise marghaT ka saman ho
raste nag ki manind dahane khole
kahin footpath pe leTe hue be-jaan se jism
jin pe khambe yun khaDe the
jaise ye katbe gaDe hon
phir achanak wo brakon ki creach
surKH-KHun ka ek fawwara
wo ek kutte ki lash
zindagi ek tilismat-kada
jis ki diwaron ki zinat ke liye
lamhon ki rangi titliyan patthar huin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.