katba
ik din yūñhī chalte chalte dil kī dhaḌkan ruk jā.egī
nabz kī jumbish tham jā.egī
saarā tamāshā jin āñkhoñ se is duniyā kā dekhā hai
vo āñkheñ pathrā jā.eñgī
chashme jharne phuul kañval ke koh-o-bayābāñ dasht-o-daman
husn qad anā kā aalam sar chamelī rañg-e-chaman
sāġhar-e-mīnā aañkh kī mastī aariz kākul zulf ghaTā
naġhma ḳhushbū pyaar mohabbat raqs tabassum harf-e-vafā
sab se rishta TūTegā
barf kī sūrat jam jā.egā har jazba har ik ehsās
tārīkī meñ kho jā.egī apnī hastī apnī zaat
ik patthar par kanda hogī dhuñdlī sī tārīḳh-e-vafāt
saare shor-sharābe kā anjām faqat ḳhāmoshī hai
in raushan lamhoñ se aage āḳhirī lamha tārīkī hai
vo lamha sab kī taak meñ hai bas itnā hī yaad rakho
logo apnī qabr kā katba apne apne saath rakho
ek din yunhi chalte chalte dil ki dhaDkan ruk jaegi
nabz ki jumbish tham jaegi
sara tamasha jin aankhon se is duniya ka dekha hai
wo aankhen pathra jaengi
chashme jharne phul kanwal ke koh-o-bayaban dasht-o-daman
husn qad ana ka aalam sar chameli rang-e-chaman
saghar-e-mina aankh ki masti aariz kakul zulf ghaTa
naghma KHushbu pyar mohabbat raqs tabassum harf-e-wafa
sab se rishta TuTega
barf ki surat jam jaega har jazba har ek ehsas
tariki mein kho jaegi apni hasti apni zat
ek patthar par kanda hogi dhundli si tariKH-e-wafat
sare shor-sharabe ka anjam faqat KHamoshi hai
in raushan lamhon se aage aaKHiri lamha tariki hai
wo lamha sab ki tak mein hai bas itna hi yaad rakho
logo apni qabr ka katba apne apne sath rakho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.