katba
mere andar ta.affun-zada ek laash thī
jise
ek abadī gaḌhe meñ pheñk aane vaale ke naam
ain miim re aur alif se shurūa hote haiñ
aaj maiñ
ek aisā harā-bharā daraḳht huuñ
jo phal phuul to detā hai
saaya nahīñ
mujhe bhī kāñdhā denā hai
in lāshoñ ko
jo maujūd to haiñ lekin dikhā.ī nahīñ detīñ
maiñ agar aisā na kar sakā
tū mere katbe par likhvā denā
yahāñ ek aisā shaḳhs dafn hai
jis ke naam ke pahle hī harf ke a.adād
sab se zyāda the
ya.anī puure ek hazār
lekin vo
ek bhī na thā
mere andar taffun-zada ek lash thi
jise
ek abadi gaDhe mein phenk aane wale ke nam
ain mim re aur alif se shurua hote hain
aaj main
ek aisa hara-bhara daraKHt hun
jo phal phul to deta hai
saya nahin
mujhe bhi kandha dena hai
in lashon ko
jo maujud to hain lekin dikhai nahin detin
main agar aisa na kar saka
tu mere katbe par likhwa dena
yahan ek aisa shaKHs dafn hai
jis ke nam ke pahle hi harf ke aadad
sab se zyaada the
yani pure ek hazar
lekin wo
ek bhi na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.