katba
qabr meñ utarte hī
maiñ ārām se darāz ho gayā
aur sochā
yahāñ mujhe
koī ḳhalal nahīñ pahuñchā.egā
ye do-gaz zamīn
merī
aur sirf merī milkiyat hai
aur maiñ maze se
miTTī meñ ghultā miltā rahā
vaqt kā ehsās
yahāñ aa kar ḳhatm ho gayā
maiñ mutma.in thā
lekin bahut jald
ye itminān bhī mujh se chhīn liyā gayā
huā yuuñ
ki abhī maiñ
puurī tarah miTTī bhī na huā thā
ki ek aur shaḳhs
merī qabr meñ ghus aayā
aur ab
merī qabr par
kisī aur kā
katba nasb hai!!
qabr mein utarte hi
main aaram se daraaz ho gaya
aur socha
yahan mujhe
koi KHalal nahin pahunchaega
ye do-gaz zamin
meri
aur sirf meri milkiyat hai
aur main maze se
miTTi mein ghulta milta raha
waqt ka ehsas
yahan aa kar KHatm ho gaya
main mutmain tha
lekin bahut jald
ye itminan bhi mujh se chhin liya gaya
hua yun
ki abhi main
puri tarah miTTi bhi na hua tha
ki ek aur shaKHs
meri qabr mein ghus aaya
aur ab
meri qabr par
kisi aur ka
katba nasb hai!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.