jiitī jāgtī aurat ko
kaTh-putlī banāne meñ
tumheñ kaafī vaqt lag gayā
lekin tumhārī mehnat rā.egāñ nahīñ ga.ī
ab vo tumhāre thappaḌ nahīñ gintī
magar tum us kī roTiyāñ ginte ho
ab vo tumhāre hoñToñ kī jumbish
tumhāre añkhoñ ke ishāre pe rahtī hai
aur tumhārī ḳhāmoshī meñ
apnā Dar banātī rahtī hai
aur tumheñ lagtā hai ki
vo tumhārā ghar banā rahī hai
jiti jagti aurat ko
kaTh-putli banane mein
tumhein kafi waqt lag gaya
lekin tumhaari mehnat raegan nahin gai
ab wo tumhaare thappaD nahin ginti
magar tum us ki roTiyan ginte ho
ab wo tumhaare honTon ki jumbish
tumhaare ankhon ke ishaare pe rahti hai
aur tumhaari KHamoshi mein
apna Dar banati rahti hai
aur tumhein lagta hai ki
wo tumhaara ghar bana rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.