kaTh-putli
mere hamdam
maiñ ki tujh ko chāhtā thā bhūlnā
maiñ ki terī raah se katrā rahā thā
maiñ ki terī yaad siine meñ dabā.e jā rahā thā
maiñ ki terā pyaar duniyā se chhupā.e jā rahā thā
hādisa phir ho gayā
merā dil tanhā.iyoñ meñ kho gayā
tere ghar ke sāmne
maiñ guzartā jā rahā thā tez tez
ki achānak car puncture ho ga.ī
tere ghar ke sāmne
na Thahar saktā thā maiñ
na hī jā saktā thā maiñ
maiñ bahut hairān thā
maiñ bahut āzurda thā
vo ki mujh se pyaar karte the kabhī
vo ki merā naam japte the kabhī
sāmne baiThe rahe
par na merī jānib uTh kar aa sake
jaise maiñ un kā na thā
jaise maiñ terā na thā
jaise maiñ begāna thā
apnī is tauhīn par
maiñ bahut sharminda thā
maiñ bahut pazhmurda thā
tujh se lekin kyā gila
na tire siine meñ dil
na tirī koī umang
tū to kaTh-putlī hai ek
mujh ko tujh se kyā gila
mere hamdam
main ki tujh ko chahta tha bhulna
main ki teri rah se katra raha tha
main ki teri yaad sine mein dabae ja raha tha
main ki tera pyar duniya se chhupae ja raha tha
hadisa phir ho gaya
mera dil tanhaiyon mein kho gaya
tere ghar ke samne
main guzarta ja raha tha tez tez
ki achanak car puncture ho gai
tere ghar ke samne
na Thahar sakta tha main
na hi ja sakta tha main
main bahut hairan tha
main bahut aazurda tha
wo ki mujh se pyar karte the kabhi
wo ki mera nam japte the kabhi
samne baiThe rahe
par na meri jaanib uTh kar aa sake
jaise main un ka na tha
jaise main tera na tha
jaise main begana tha
apni is tauhin par
main bahut sharminda tha
main bahut pazhmurda tha
tujh se lekin kya gila
na tere sine mein dil
na teri koi umang
tu to kaTh-putli hai ek
mujh ko tujh se kya gila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.