kaTh-putli
mere ḳhvāboñ kī patañg mujh se
kartī hai an-ginat savāl
aksar rūThī rahtī hai mujh se
kabhī āñkhoñ se kabhī nīñdoñ se
chāhtī thī khulā āsmāñ
ūñchī aur ūñchī uḌaan
par paglī nādāñ vo kyā jaane
Dor to us kī hai aur kisī ke haath
ḳhud to vo sirf kaTh-putlī hai
mere KHwabon ki patang mujh se
karti hai an-ginat sawal
aksar ruThi rahti hai mujh se
kabhi aankhon se kabhi nindon se
chahti thi khula aasman
unchi aur unchi uDan
par pagli nadan wo kya jaane
Dor to us ki hai aur kisi ke hath
KHud to wo sirf kaTh-putli hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.