kaTh-putli ne gana gaya
kaTh-putlī ne gaanā gaayā
kaisā anokhā raag sunāyā
sote bachche jaag ga.e
us kī taraf sab bhaag ga.e
Dholak jhāñjh mañjīrā hai
dekho raag kabīrā hai
sur sañgīt kā sargam hai
table kī ek dham dham hai
viinā jaage tāroñ meñ
khele rang bahāroñ meñ
kaTh-putlī kī cheñ cheñ hai
ektāre kī reñ reñ hai
kaTh-putlī ne gaanā gaayā
kaisā anokhā raag sunāyā
table par jab thaap paḌī
jaage sur vo naach uThī
ḳhatm huā tāroñ kā fasāna
kaTh-putlī ne gaanā gaayā
kaTh-putli ne gana gaya
kaisa anokha rag sunaya
sote bachche jag gae
us ki taraf sab bhag gae
Dholak jhanjh manjira hai
dekho rag kabira hai
sur sangit ka sargam hai
table ki ek dham dham hai
wina jage taron mein
khele rang bahaaron mein
kaTh-putli ki chen chen hai
ektare ki ren ren hai
kaTh-putli ne gana gaya
kaisa anokha rag sunaya
table par jab thap paDi
jage sur wo nach uThi
KHatm hua taron ka fasana
kaTh-putli ne gana gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.