kaTh-putli ne naTak khela
kaTh-putlī ne nāTak khelā
nannhī munnī guḌiyā raanī
sar pe chañdariyā
dhānī dhānī
bolo raanī
bolo raanī
bāloñ meñ tāroñ ko gūñdhe
duur khaḌī jaane kyā soche
pair meñ ghuñghrū chham-chham chham
kaan ke baale cham-cham cham
pahne hai vo laal shalokā
duur se chamke aag kā luukā
ġhussa chehre par jab aa.e
ho jaa.e vo
laal bhabūkā
laal bhabūkā
kaTh-putlī ne nāTak khelā
hāthoñ meñ mehñdī kī laalī
gorī gorī kaalī kaalī
bāteñ us kī
tīkhī tīkhī
rūkhī rūkhī
phīkī phīkī
kaTh-putlī ne nāTak khelā
hañste hañste sab dukh jhelā
chuuñ chuuñ chuuñ
chun chun chun
jhoñ jhoñ jhoñ
jhan jhan jhan
ghan ghan ghan
san san san
Tan Tan Tan
ghanTa bolā
ghir aa.ī phir shaam kī belā
kaTh-putlī ne nāTak khelā
kaTh-putli ne naTak khela
nannhi munni guDiya rani
sar pe chandariya
dhani dhani
bolo rani
bolo rani
baalon mein taron ko gundhe
dur khaDi jaane kya soche
pair mein ghunghru chham-chham chham
kan ke baale cham-cham cham
pahne hai wo lal shaloka
dur se chamke aag ka luka
ghussa chehre par jab aae
ho jae wo
lal bhabuka
lal bhabuka
kaTh-putli ne naTak khela
hathon mein mehndi ki lali
gori gori kali kali
baaten us ki
tikhi tikhi
rukhi rukhi
phiki phiki
kaTh-putli ne naTak khela
hanste hanste sab dukh jhela
chun chun chun
chun chun chun
jhon jhon jhon
jhan jhan jhan
ghan ghan ghan
san san san
Tan Tan Tan
ghanTa bola
ghir aai phir sham ki bela
kaTh-putli ne naTak khela
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.