kaTi pahaDi
hamāre shahr kī ābādī ke darmiyān
kisī bhī samjhaute ke imkān ko mustarad karte hue
shahr ke shumāl maġhrib meñ
duur tak phailī huī pahāḌī meñ ek shigāf Daal diyā gayā hai
pahāḌī ko kāTne kā ye achhūtā ḳhayāl
shahr ke kuchh me.amāroñ ke zehn meñ kyā aayā
shahr ke makānoñ ke dar-o-dīvār
is na.ī tafrīq ke shor-o-shar se
tap kar surḳh ho ga.e
aur shahr ke uupar mañDlāne lage
qismat āzmā.ūñ ke azā.em
shahr ko ab na.e zāviyoñ se dekhā jaane lagā
ab is pahāḌī meñ
ka.ī ek aise maqāmāt dikhā.ī dene lage haiñ
jahāñ se use mazīd kaaTā
yā kamzor kiyā jā saktā hai
pahāḌī ke kaTte hī
us paas kī ābādiyoñ ne apnī hudūd ko
na.e sire se tartīb de liyā hai
kaTāo se shahr meñ havā kā dabāo
ġhair-mustahkam ho gayā hai
gāḌiyoñ ke route badalne lage
jamī jamā.ī ābādī
mutazalzal ho ga.ī
bāzāroñ aur ḳharīdāroñ ke rañg ruup
aur chehre mohre tabdīl ho ga.e haiñ
log shāh-rāhoñ
makānoñ
parkoñ
schōloñ aur ibādat-gāhoñ ko
yuuñ dekhne lage
jaise un ke biich bhī unheñ
shigāf dikhā.ī dene lage hoñ
kaTī huī pahāḌī ne
ham sab ke chehroñ ke biich
ek mustaqil darāḌ Daal dī hai
in me.amāroñ se zyāda
jinhoñ ne pahāḌī meñ shigāf Daalā
ham har us shai se ḳhauf-zada haiñ
jis meñ ba-zāhir koī shigāf yā darāḌ dikhā.ī nahīñ detī
par jis ke darmiyān se
mustaqil jhāñk rahī hai
kaTī huī pahāḌī
hamare shahr ki aabaadi ke darmiyan
kisi bhi samjhaute ke imkan ko mustarad karte hue
shahr ke shumal maghrib mein
dur tak phaili hui pahaDi mein ek shigaf Dal diya gaya hai
pahaDi ko kaTne ka ye achhuta KHayal
shahr ke kuchh meamaron ke zehn mein kya aaya
shahr ke makanon ke dar-o-diwar
is nai tafriq ke shor-o-shar se
tap kar surKH ho gae
aur shahr ke upar manDlane lage
qismat aazmaun ke azaem
shahr ko ab nae zawiyon se dekha jaane laga
ab is pahaDi mein
kai ek aise maqamat dikhai dene lage hain
jahan se use mazid kaTa
ya kamzor kiya ja sakta hai
pahaDi ke kaTte hi
us pas ki aabaadiyon ne apni hudud ko
nae sire se tartib de liya hai
kaTao se shahr mein hawa ka dabao
ghair-mustahkam ho gaya hai
gaDiyon ke route badalne lage
jami jamai aabaadi
mutazalzal ho gai
bazaron aur KHaridaron ke rang rup
aur chehre mohre tabdil ho gae hain
log shah-rahon
makanon
parkon
schoolon aur ibaadat-gahon ko
yun dekhne lage
jaise un ke bich bhi unhen
shigaf dikhai dene lage hon
kaTi hui pahaDi ne
hum sab ke chehron ke bich
ek mustaqil daraD Dal di hai
in meamaron se zyaada
jinhon ne pahaDi mein shigaf Dala
hum har us shai se KHauf-zada hain
jis mein ba-zahir koi shigaf ya daraD dikhai nahin deti
par jis ke darmiyan se
mustaqil jhank rahi hai
kaTi hui pahaDi
- Book : aaj (Pg. 343)
- Author : ajmal
- Publication : 316madiina maal ,abdullah haroon road sadar karachi-74400 (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.