kaun dekhega
jo din kabhī nahīñ biitā vo din kab aa.egā
inhī dinoñ meñ is ik din ko kaun dekhegā
us ek din ko jo sūraj kī raakh meñ ġhaltāñ
inhī dinoñ kī tahoñ meñ hai kaun dekhegā
us ek din ko jo hai umr ke zavāl kā din
inhīñ dinoñ meñ numū-yāb kaun dekhegā
ye ek saañs jhameloñ-bharī jugoñ meñ rachī
is apnī saañs meñ kaun apnā ant dekhegā
is apnī miTTī meñ jo kuchh amiT hai miTTī hai
jo din in āñkhoñ ne dekhā hai kaun dekhegā
maiñ roz idhar se guzartā huuñ kaun dekhtā hai
maiñ jab idhar se na guzrūñgā kaun dekhegā
do-rūya sāhil-e-dīvār aur pas-e-dīvār
ik ā.inoñ kā samundar hai kaun dekhegā
hazār chehre ḳhud-ārā haiñ kaun jhāñkegā
mire na hone kī honī ko kaun dekhegā
taḌaḳh ke gard kī tah se agar kahīñ kuchh phuul
khile bhii, koī to dekhegā kaun dekhegā
jo din kabhi nahin bita wo din kab aaega
inhi dinon mein is ek din ko kaun dekhega
us ek din ko jo suraj ki rakh mein ghaltan
inhi dinon ki tahon mein hai kaun dekhega
us ek din ko jo hai umr ke zawal ka din
inhin dinon mein numu-yab kaun dekhega
ye ek sans jhamelon-bhari jugon mein rachi
is apni sans mein kaun apna ant dekhega
is apni miTTi mein jo kuchh amiT hai miTTi hai
jo din in aankhon ne dekha hai kaun dekhega
main roz idhar se guzarta hun kaun dekhta hai
main jab idhar se na guzrunga kaun dekhega
do-ruya sahil-e-diwar aur pas-e-diwar
ek aainon ka samundar hai kaun dekhega
hazar chehre KHud-ara hain kaun jhankega
mere na hone ki honi ko kaun dekhega
taDaKH ke gard ki tah se agar kahin kuchh phul
khile bhi, koi to dekhega kaun dekhega
- Book : Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 454)
- Author : Majiid Amjad
- Publication : Farid Book Depot (p) Ltd. (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.