kaun hai apna
socho to kaun hai apnā
duniyā saarī un kī duniyā
apnī duniyā dukh kī duniyā
socho to kaun hai apnā
sab hī magan haiñ apne sukh meñ
ham jiite haiñ paale dukh meñ
socho to kaun hai apnā
ḳhvāboñ kī duniyā meñ akele
ham hī nahīñ the tanhā nahīñ the
saath the apne ḳhvāb adhūre
socho to kaun hai apnā
dukh jab ham ko diye ga.e the
log hamāre kahāñ ga.e the
socho to kaun hai apnā
tum bhī yahāñ ho ham bhī yahīñ haiñ
phir bhī itnī duurī kaisī kaisī duurī
socho to kaun hai apnā
apnā lo apnā lo ham ko
pyaar ke saare bhūke haiñ ham
sunā hai tum ko hamdardī hai
socho to kaun hai apnā
socho to kaun hai apna
duniya sari un ki duniya
apni duniya dukh ki duniya
socho to kaun hai apna
sab hi magan hain apne sukh mein
hum jite hain pale dukh mein
socho to kaun hai apna
KHwabon ki duniya mein akele
hum hi nahin the tanha nahin the
sath the apne KHwab adhure
socho to kaun hai apna
dukh jab hum ko diye gae the
log hamare kahan gae the
socho to kaun hai apna
tum bhi yahan ho hum bhi yahin hain
phir bhi itni duri kaisi kaisi duri
socho to kaun hai apna
apna lo apna lo hum ko
pyar ke sare bhuke hain hum
suna hai tum ko hamdardi hai
socho to kaun hai apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.