kaun hai mujrim shahr-e-ilm ki taraji ka
ye jo baune ḳhudā bane haiñ ajiib shai se jo lag rahe haiñ
haiñ dar-haqīqat ye aadmī hī bas un kī ḳhaslat judā hai thoḌī
anā jo un kī kuchal chukī hai zamīr un kā jo mar gayā hai
ye sach hai zehnī ġhulām haiñ ab ḳhabāsatoñ ke imaam haiñ ye
hamesha jhuk kar mile danī se sanā meñ ratab-ul-lisān ho kar
gunah ko un ke savāb jaanā fareb ko lā-javāb kah kar
unhī ko aaqā unhī ko mālik unhī ko apnā ḳhudā bhī maanā
unhī ke hāthoñ jism-o-jāñ ko ḳhudī ko īmāñ ko bech Daalā
ba-nām-e-ilm-o-adab jo paayā
abdullāh-ibn-e-ubay kī daulat abū-jahl kī vo ḳhāsiyat hai
jo chāheñ un ko kuchh aur kah leñ jo chāheñ insāñ phir bhī samjheñ
magar ye sach hai la.iin haiñ ye
kam-zarf aur haqīr haiñ ye
ye dānāoñ ke haq ko yaksar ġhabī ko mohmal ko bechte haiñ
ye qaum-o-millat kā naam le kar usūl-o-maz.hab kī baat kah kar
nasleñ kitnī tabāh kar ke khetiyāñ apnī sīñchte haiñ
aur habāb dil meñ baiThā
maiñ dekhtā huuñ ye sochtā huuñ
hai kaun mujrim in meñ āḳhir
jo aaqā mālik banā huā thā
yā vo jo baunā ḳhudā banā hai
yā phir vo daanā shikast khā kar
idhar udhar jo bhaTak rahe haiñ
yā vo ġhabī jo haq churā kar
ḳhudā ke ḳhitte meñ aa base haiñ
yā maiñ
ki tanhā muhīt-e-dil meñ
mahz tamāshā-bīñ banā huuñ
ye jo baune KHuda bane hain ajib shai se jo lag rahe hain
hain dar-haqiqat ye aadmi hi bas un ki KHaslat juda hai thoDi
ana jo un ki kuchal chuki hai zamir un ka jo mar gaya hai
ye sach hai zehni ghulam hain ab KHabasaton ke imam hain ye
hamesha jhuk kar mile dani se sana mein ratab-ul-lisan ho kar
gunah ko un ke sawab jaana fareb ko la-jawab kah kar
unhi ko aaqa unhi ko malik unhi ko apna KHuda bhi mana
unhi ke hathon jism-o-jaan ko KHudi ko iman ko bech Dala
ba-nam-e-ilm-o-adab jo paya
abdullah-ibn-e-ubay ki daulat abu-jahl ki wo KHasiyat hai
jo chahen un ko kuchh aur kah len jo chahen insan phir bhi samjhen
magar ye sach hai lain hain ye
kam-zarf aur haqir hain ye
ye danaon ke haq ko yaksar ghabi ko mohmal ko bechte hain
ye qaum-o-millat ka nam le kar usul-o-mazhab ki baat kah kar
naslen kitni tabah kar ke khetiyan apni sinchte hain
aur habab dil mein baiTha
main dekhta hun ye sochta hun
hai kaun mujrim in mein aaKHir
jo aaqa malik bana hua tha
ya wo jo bauna KHuda bana hai
ya phir wo dana shikast kha kar
idhar udhar jo bhaTak rahe hain
ya wo ghabi jo haq chura kar
KHuda ke KHitte mein aa base hain
ya main
ki tanha muhit-e-dil mein
mahz tamasha-bin bana hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.