kaun hai wo
kaun hai vo
jo har pal mere saath saath chaltā hai
kabhī vo phuul ban kar mere hoñToñ par khiltā hai
kabhī shabnam ban kar merī ruuh ko bhigo detā
kaun hai vo
jo har pal mere saath saath chaltā hai
vo kabhī lafz ban kar merī ġhazloñ meñ sañvar jaatā hai
jab vo hañstā hai har samt jugnū chamakne lagte haiñ
jab vo chaltā hai to rāhoñ meñ
hazāroñ charāġh jal uThte haiñ
kaun hai vo
jo har pal mere saath saath chaltā hai
kabhī vo merā saaya ban jaatā hai
kabhī merā āsmān ban jaatā hai
kabhī mujhe ḳhud meñ samo letā hai
kabhī merī zamīn ban jaatā hai
us kī ek nigāh se maiñ paash paash hone lagtī huuñ
jab milne kā isrār kartā hai
maiñ bebas ho jaatī huuñ
kaun hai vo jo har pal mere saath chaltā hai
kaun hai wo
jo har pal mere sath sath chalta hai
kabhi wo phul ban kar mere honTon par khilta hai
kabhi shabnam ban kar meri ruh ko bhigo deta
kaun hai wo
jo har pal mere sath sath chalta hai
wo kabhi lafz ban kar meri ghazlon mein sanwar jata hai
jab wo hansta hai har samt jugnu chamakne lagte hain
jab wo chalta hai to rahon mein
hazaron charagh jal uThte hain
kaun hai wo
jo har pal mere sath sath chalta hai
kabhi wo mera saya ban jata hai
kabhi mera aasman ban jata hai
kabhi mujhe KHud mein samo leta hai
kabhi meri zamin ban jata hai
us ki ek nigah se main pash pash hone lagti hun
jab milne ka israr karta hai
main bebas ho jati hun
kaun hai wo jo har pal mere sath chalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.