kaun hun main
sochtī huuñ
kaun huuñ maiñ
naam batlā do mirā tum
bhuul jaatī huuñ kabhī ḳhud ko
bhaTak kar rāste se
lauTtī huuñ
jaise rah jaa.e koī shai
be-sabab hī DhūñDhtī huuñ
jaane kis kā
ek chehra
jis ke hāthoñ kī lakīroñ meñ
likhā hai naam merā
DhūñDhtī huuñ aaj bhī maiñ
zaat apnī
naam apnā
sochti hun
kaun hun main
nam batla do mera tum
bhul jati hun kabhi KHud ko
bhaTak kar raste se
lauTti hun
jaise rah jae koi shai
be-sabab hi DhunDhti hun
jaane kis ka
ek chehra
jis ke hathon ki lakiron mein
likha hai nam mera
DhunDhti hun aaj bhi main
zat apni
nam apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.