kaun hun main
ufaq ke sūraj kī lālimā ne
mujhe batāyā kī kaun huuñ maiñ
mujhe ḳhabar hī nahīñ thī ab tak
maiñ apne hone se be-ḳhabar thī
ḳhabar meñ rakhtā thā vo jo mujh ko
vo merā mohsin chalā gayā hai
ufuq se aage kī sair karne
maiñ aaj tanhā khaḌī huī huuñ
ye sochtī huuñ palaT ke aa.e
vo jaise koī havā kā jhoñkā
mire badan ko asiir kar ke
mujhe batā.e kī aa gayā huuñ
maiñ muntazir huuñ na jaane kab se
usī ke aane kī koī aahaT
kabhī to mujh ko sunā.ī degī
kabhī to manzil dikhā.ī degī
ufaq ke suraj ki lalima ne
mujhe bataya ki kaun hun main
mujhe KHabar hi nahin thi ab tak
main apne hone se be-KHabar thi
KHabar mein rakhta tha wo jo mujh ko
wo mera mohsin chala gaya hai
ufuq se aage ki sair karne
main aaj tanha khaDi hui hun
ye sochti hun palaT ke aae
wo jaise koi hawa ka jhonka
mere badan ko asir kar ke
mujhe batae ki aa gaya hun
main muntazir hun na jaane kab se
usi ke aane ki koi aahaT
kabhi to mujh ko sunai degi
kabhi to manzil dikhai degi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.