kaun?
kabhī dil ke andhe kueñ meñ
paḌā chīḳhtā hai
kabhī dauḌte ḳhuun meñ
tairtā Dūbtā hai
kabhī haDDiyoñ kī surangoñ meñ battī jalā kar
yūñhī ghūmtā hai
kabhī kaan meñ aa ke
chupke se kahtā hai tū ab talak jī rahā hai?
baḌā be-hayā hai!
mire jism meñ kaun hai ye
jo mujh se ḳhafā hai
kabhi dil ke andhe kuen mein
paDa chiKHta hai
kabhi dauDte KHun mein
tairta Dubta hai
kabhi haDDiyon ki surangon mein batti jala kar
yunhi ghumta hai
kabhi kan mein aa ke
chupke se kahta hai tu ab talak ji raha hai?
baDa be-haya hai!
mere jism mein kaun hai ye
jo mujh se KHafa hai
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 157)
- Author :Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.