kaun
kaun hai jo mujhe aaj chhū kar gayā
kis kā maiñ bātoñ hī bātoñ meñ ho gayā
merī añgḌā.iyoñ kā sabab kaun hai
zehn kis ḳhvāb meñ aaj kal kho gayā
kaun hai jo mujhe aaj chhū kar gayā
dhīre se chupke se baat kis kī chalī
kis ke lab pe achānak nazar Tik ga.ī
Thahre Thahre qadam kyuuñ lage bhāgne
kis kī bātoñ pe ham dil lage thāmne
kaun hai jo mujhe aaj chhū kar gayā
merī āñkhoñ meñ tasvīr jis kī banī
sharm kī chādaroñ meñ vo aa ke chhupī
aaj kuchh yuuñ simaTne lagī hai Dagar
jaise manzil ne ḳhud tai kiyā ho safar
kaun hai jo mujhe aaj chhū kar gayā
kaun hai jo mujhe aaj chhu kar gaya
kis ka main baaton hi baaton mein ho gaya
meri angDaiyon ka sabab kaun hai
zehn kis KHwab mein aaj kal kho gaya
kaun hai jo mujhe aaj chhu kar gaya
dhire se chupke se baat kis ki chali
kis ke lab pe achanak nazar Tik gai
Thahre Thahre qadam kyun lage bhagne
kis ki baaton pe hum dil lage thamne
kaun hai jo mujhe aaj chhu kar gaya
meri aankhon mein taswir jis ki bani
sharm ki chadaron mein wo aa ke chhupi
aaj kuchh yun simaTne lagi hai Dagar
jaise manzil ne KHud tai kiya ho safar
kaun hai jo mujhe aaj chhu kar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.