ai yār-e-dil-nashīñ vo adā kaun le gayā
tere nagīñ se naqsh-e-vafā kaun le gayā
hal kar diyā thā jis ne muamma shabāb kā
tujh se vo fikr-e-uqda-kushā kaun le gayā
thā lutf pahle qahr meñ ab sirf qahr hai
zulmat se mauj-e-āb-e-baqā kaun le gayā
kyuuñ daf.atan laboñ pe ḳhamoshī sī chhā ga.ī
is sāz-e-dil-nashīñ kī sadā kaun le gayā
āñkhoñ se shān-e-bazl-o-saḳhā kis ne chhīn lī
siine se zauq-e-lutf-o-atā kaun le gayā
thiiñ jis kī rau se ḳhūn-e-tamannā meñ surḳhiyāñ
ruḳhsār se vo rañg-e-vafā kaun le gayā
rātoñ ko māñgnā thā duā merī diid kī
vo minnateñ vo zauq-e-duā kaun le gayā
ai shaah banda-parvar-e-sultān-e-narm-dil
dil se tire ḳhayāl-e-gadā kaun le gayā
pahlī sī vo kalām meñ narmī nahīñ rahī
guftār se mizāj-e-sabā kaun le gayā
ab 'josh' ke liye haiñ na aañsū na āh-e-sard
is gulsitāñ kī āb-o-havā kaun le gayā
ai yar-e-dil-nashin wo ada kaun le gaya
tere nagin se naqsh-e-wafa kaun le gaya
hal kar diya tha jis ne muamma shabab ka
tujh se wo fikr-e-uqda-kusha kaun le gaya
tha lutf pahle qahr mein ab sirf qahr hai
zulmat se mauj-e-ab-e-baqa kaun le gaya
kyun dafatan labon pe KHamoshi si chha gai
is saz-e-dil-nashin ki sada kaun le gaya
aankhon se shan-e-bazl-o-saKHa kis ne chhin li
sine se zauq-e-lutf-o-ata kaun le gaya
thin jis ki rau se KHun-e-tamanna mein surKHiyan
ruKHsar se wo rang-e-wafa kaun le gaya
raaton ko mangna tha dua meri did ki
wo minnaten wo zauq-e-dua kaun le gaya
ai shah banda-parwar-e-sultan-e-narm-dil
dil se tere KHayal-e-gada kaun le gaya
pahli si wo kalam mein narmi nahin rahi
guftar se mizaj-e-saba kaun le gaya
ab 'josh' ke liye hain na aansu na aah-e-sard
is gulsitan ki aab-o-hawa kaun le gaya
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 14)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.