kaun samjhe tujhe
shā.irī
tū parindoñ kī choñchoñ pe ugtī huī naġhmagī
tū daraḳhtoñ kī chhāñv meñ paltī huī sādgī
tū bahāroñ ke dāman meñ bikhrī huī be-ḳhudī
tū sulagte savāloñ ke bātin meñ bahkī huī aarzū
tū hai ma.asūm bachche kī āñkhoñ meñ hairat-kada
kaun samjhe tujhe
tīrgī raushnī zindagī bebasī aadmī
aur ik kāmanī
kaun terī zabāñ se huā āshnā
kaun samjhā tujhe
pāniyoñ kī laḌā.ī meñ maujoñ ne terī koī
baat maanī hai kyā
sarhadoñ par bhaḌaktī huī aag ne
tere qadmoñ pe bosā diyā hai kabhī
shā.irī
aa zarā dekh le
mere pahlū meñ bargad ke paale hue vasvase
apne māthe se chup kī lakīreñ miTā aur batā
isti.āroñ se bargad kī shāḳheñ bhī kaTtī haiñ kyā
shā.irī
tujh se to
kāmanī kā koī ek jazba bhī mahkā nahīñ
tujh se duniyā meñ kyā inqalāb aa.egā
shā.irī
dekh mere sirhāne tamannā.eñ kitnī haiñ zanjīr-e-pā
kitne ḳhvāboñ ke TuuTe hue
par haiñ bikhre hue
aa ki mil kar ajal ke kisī
gosha-e-nam meñ jaane ko raḳht-e-safar bāñdh leñ
kaun samjhā tujhe kaun samjhe tujhe
shairi
tu parindon ki chonchon pe ugti hui naghmagi
tu daraKHton ki chhanw mein palti hui sadgi
tu bahaaron ke daman mein bikhri hui be-KHudi
tu sulagte sawalon ke baatin mein bahki hui aarzu
tu hai masum bachche ki aankhon mein hairat-kada
kaun samjhe tujhe
tirgi raushni zindagi bebasi aadmi
aur ek kaamani
kaun teri zaban se hua aashna
kaun samjha tujhe
paniyon ki laDai mein maujon ne teri koi
baat mani hai kya
sarhadon par bhaDakti hui aag ne
tere qadmon pe bosa diya hai kabhi
shairi
aa zara dekh le
mere pahlu mein bargad ke pale hue waswase
apne mathe se chup ki lakiren miTa aur bata
istiaron se bargad ki shaKHen bhi kaTti hain kya
shairi
tujh se to
kaamani ka koi ek jazba bhi mahka nahin
tujh se duniya mein kya inqalab aaega
shairi
dekh mere sirhane tamannaen kitni hain zanjir-e-pa
kitne KHwabon ke TuTe hue
par hain bikhre hue
aa ki mil kar ajal ke kisi
gosha-e-nam mein jaane ko raKHt-e-safar bandh len
kaun samjha tujhe kaun samjhe tujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.