kaun samjhega is paheli ko
munich meñ aaj christmas hai
saare manāzir ne safed chādar oḌh rakhī hai
kamre kī khiḌkī se aatī udāsī chahār-sū phailtī jā rahī hai
añdherā udāsiyoñ ke nauhe paḌh rahā hai
mumTiyoñ se phisaltā nahīñ koī kankar
lamhe sākit ho ga.e haiñ
almārī ke ḳhānoñ meñ kuchh yādeñ bikhrī paḌī haiñ
sāmne paḌī kursī jhuul rahī hai
saarā māhaul sogvār hai
ajiib sā Dar hai
jo aañsū ban kar utar rahā hai
āsmāñ saat rang raushaniyāñ
qahqahe saaz naġhmagī
ye hujūm sāl-hā-sāl kī masāfat hai
keñchulī badalne kā ehsās
āñkhoñ kī ḳhāmoshī se athāh gahrā.ī meñ utar rahā hai
maiñ abhī lauT kar nahīñ aa.ī
dil ne barsoñ se rū-e-ālam kī ḳhaak chhānī hai
terī añkhoñ meñ kahīñ vo zamāne simaT ke aa ga.e haiñ
jab quetta airport se nam-nākī ne tumheñ ravāna kiyā
raqs naġhmagī
chūḌiyoñ kī khanak ke nīche haiñ
bhārī hai in sab sāzoñ se
haath ḳhālī haiñ dil vīrān hai
dā.era dā.era ye ḳhāmoshī
dā.era dā.era ye tanhā.ī
jis meñ qadīm āsār
mohan-jodāḌo haḌappa bābil Taxila ke
jo mere andar lamha lamha utarte jaate haiñ
majīd amjad
maiñ fāsloñ kī kamand kī asiir
maiñ terī shālāt
rūd-bār ke pul par baḌī der se khaḌī huuñ
munich mein aaj christmas hai
sare manazir ne safed chadar oDh rakhi hai
kamre ki khiDki se aati udasi chahaar-su phailti ja rahi hai
andhera udasiyon ke nauhe paDh raha hai
mumTiyon se phisalta nahin koi kankar
lamhe sakit ho gae hain
almari ke KHanon mein kuchh yaaden bikhri paDi hain
samne paDi kursi jhul rahi hai
sara mahaul sogwar hai
ajib sa Dar hai
jo aansu ban kar utar raha hai
aasman sat rang raushaniyan
qahqahe saz naghmagi
ye hujum sal-ha-sal ki masafat hai
kenchuli badalne ka ehsas
aankhon ki KHamoshi se athah gahrai mein utar raha hai
main abhi lauT kar nahin aai
dil ne barson se ru-e-alam ki KHak chhani hai
teri ankhon mein kahin wo zamane simaT ke aa gae hain
jab quetta airport se nam-naki ne tumhein rawana kiya
raqs naghmagi
chuDiyon ki khanak ke niche hain
bhaari hai in sab sazon se
hath KHali hain dil viran hai
daera daera ye KHamoshi
daera daera ye tanhai
jis mein qadim aasar
mohan-jodaDo haDappa babil Taxila ke
jo mere andar lamha lamha utarte jate hain
majid amjad
main faslon ki kamand ki asir
main teri shaalat
rud-bar ke pul par baDi der se khaDi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.