kaun zanjir toD sakta hai
kaun zanjīr toḌ saktā hai
kis meñ himmat hai tum se laḌne kī
kis meñ jur.at hai sar uThāne kī
kaun bāġhī tumhārī zaat se ho
kis sitamgar ko jaan pyārī nahīñ
jaan hai to jahān hai pyāre
log zinda raheñge lālach meñ
ki kisī roz vaqt aa.egā
ek lashkar masarratoñ kā liye
aur tah-e-teġh kar ke rakh degā
ġham kī faujoñ ko qahr ke dil ko
aur ye be-nishān qaidī bhī
isī jhūle meñ chhūT jā.eñge
silsile dukh ke TuuT jā.eñge
tum magar fikr mat karo jānāñ
ye to lālach hai zinda rahne kā
ḳhvāb hai murda zarf logoñ kā
vaqt mazlūm kā nahīñ hotā
tum pareshān mat ho jān-e-jāñ
tum se muñh kaun moḌ saktā hai
kaun zanjīr toḌ saktā hai
kaun zanjir toD sakta hai
kis mein himmat hai tum se laDne ki
kis mein jurat hai sar uThane ki
kaun baghi tumhaari zat se ho
kis sitamgar ko jaan pyari nahin
jaan hai to jahan hai pyare
log zinda rahenge lalach mein
ki kisi roz waqt aaega
ek lashkar masarraton ka liye
aur tah-e-tegh kar ke rakh dega
gham ki faujon ko qahr ke dil ko
aur ye be-nishan qaidi bhi
isi jhule mein chhuT jaenge
silsile dukh ke TuT jaenge
tum magar fikr mat karo jaanan
ye to lalach hai zinda rahne ka
KHwab hai murda zarf logon ka
waqt mazlum ka nahin hota
tum pareshan mat ho jaan-e-jaan
tum se munh kaun moD sakta hai
kaun zanjir toD sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.