kawwe ki chori
jañgal meñ jā kar kavve ne
koyal kā ik giit churāyā
giit churā kar jañgal se vo
sub.h savere gaañv meñ aayā
gaañv meñ aate hī kavve ne
āñgan āñgan shor machāyā
jañgal se jo giit churā kar
laayā thā vo sab ko sunāyā
kavve ne koyal kā gaanā
jab apnī āvāz meñ gaayā
sun kar us kī kaa.eñ kaa.eñ
sab ne us ko maar bhagāyā
jangal mein ja kar kawwe ne
koyal ka ek git churaya
git chura kar jangal se wo
subh sawere ganw mein aaya
ganw mein aate hi kawwe ne
aangan aangan shor machaya
jangal se jo git chura kar
laya tha wo sab ko sunaya
kawwe ne koyal ka gana
jab apni aawaz mein gaya
sun kar us ki kaen kaen
sab ne us ko mar bhagaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.