kawwon ki baraat
kyoñ ye kaa.eñ kaa.eñ machā.ī
kavvoñ kī bārāt hai aa.ī
mil-jul kar sab khāne baiThe
ḳhuub maze se dāvat khaa.ī
koī laayā laDDū peḌe
koī laayā duudh malā.ī
khā pī kar dūlhā yuuñ bolā
merī dulhan kyoñ nahīñ aa.ī
is par bigḌe saare barātī
hone lagī aapas meñ laḌā.ī
us ne is kī Thoñgeñ mārīñ
is ne gardan us kī dabā.ī
kavvoñ kī bārāt meñ 'nayyar'
apnī ġhazal ye ham ne gaa.ī
kyon ye kaen kaen machai
kawwon ki baraat hai aai
mil-jul kar sab khane baiThe
KHub maze se dawat khai
koi laya laDDu peDe
koi laya dudh malai
kha pi kar dulha yun bola
meri dulhan kyon nahin aai
is par bigDe sare baraati
hone lagi aapas mein laDai
us ne is ki Thongen marin
is ne gardan us ki dabai
kawwon ki baraat mein 'nayyar'
apni ghazal ye hum ne gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.