ke baad ek KHayal
tum ne apnā haq māñgā thā
maiñ ne tumhārā rasta rokā
aur na kabhī dīvār banā
yuuñ ham donoñ āzād hue
maiñ bhī ḳhush huuñ
tum bhī ḳhush ho
lekin ye bhī sochā tum ne
aisā kar ke asl meñ ham tum
donoñ hī barbād hue haiñ
ham donoñ kī āzādī kī
sab se ziyāda sab se mahñgī
qīmat kis ne dī hai
tum ne apna haq manga tha
main ne tumhaara rasta roka
aur na kabhi diwar bana
yun hum donon aazad hue
main bhi KHush hun
tum bhi KHush ho
lekin ye bhi socha tum ne
aisa kar ke asl mein hum tum
donon hi barbaad hue hain
hum donon ki aazadi ki
sab se ziyaada sab se mahngi
qimat kis ne di hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.