kenchuli badalti raat
pā.īñ baaġh meñ
chāñd utrā
aur chandan mahkā
raat kī sāñval Daalī se
ik narm gulābī nāgin lipTī
chāroñ or meñ
resham narm huā kā jañgal
duud gulābī hariyal maḳhmal
hauz kinārā
sīmīñ paanī
jhal jhal kartā jism
us par
ek siyāh tilism
duur mahal kī khiḌkī meñ
vo dahkā ik añgārā
sub.h ke maqtal meñ ik kauñdā
sajal lahū kā dhārā
siij pe saj ga.e
lā-ta.adād
basre aur baġhdād
mehrāboñ se umaD paḌe haiñ
saat dishā ke qulzum
gardan par aa baiThā hai
maut kā tasma-pā
jīvan ke darvāze par
koī pukāre paiham
sim-sim
sim-sim
sim-sim
pain bagh mein
chand utra
aur chandan mahka
raat ki sanwal Dali se
ek narm gulabi nagin lipTi
chaaron or mein
resham narm hua ka jangal
dud gulabi hariyal maKHmal
hauz kinara
simin pani
jhal jhal karta jism
us par
ek siyah tilism
dur mahal ki khiDki mein
wo dahka ek angara
subh ke maqtal mein ek kaunda
sajal lahu ka dhaara
sij pe saj gae
la-tadad
basre aur baghdad
mehrabon se umaD paDe hain
sat disha ke qulzum
gardan par aa baiTha hai
maut ka tasma-pa
jiwan ke darwaze par
koi pukare paiham
sim-sim
sim-sim
sim-sim
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 78)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Room No.-1,1st Floor, Awan Plaza, Shadman Market, Lahore (Issue No. 4, Jan To Mar.1998)
- Edition : Issue No. 4, Jan To Mar.1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.