kenchuli
ḳhudāvandā
mirī maj.hūl fitrat par
mañDhī hai keñchulī kaisī
ki jis par nāḳhun-e-tadbīr kā jaadū nahīñ chaltā
sabhī ālāt-e-jarrāhī ko maiñ ne āzmāyā hai
magar vo keñchulī hai hastī-e-ḳhud kī ajab āshiq
chipak kar rah ga.ī hai jo
mire ThanDe masāmoñ se
ḳhudāvandā
mirī maj.hūl fitrat ko
haqīqat āshnā kar de
sarāpā ā.īna kar de
KHudawanda
meri majhul fitrat par
manDhi hai kenchuli kaisi
ki jis par naKHun-e-tadbir ka jadu nahin chalta
sabhi aalat-e-jarrahi ko main ne aazmaya hai
magar wo kenchuli hai hasti-e-KHud ki ajab aashiq
chipak kar rah gai hai jo
mere ThanDe masamon se
KHudawanda
meri majhul fitrat ko
haqiqat aashna kar de
sarapa aaina kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.