KHak-e-bisat
jīvan to isī shash-o-panj meñ guzar jaatā hai
duniyā rahne kī jagah hai bhī yā nahīñ
vo log jin se ham bilkul milnā nahīñ chāhte vahī ham se kyuuñ musalsal mil rahe hote haiñ
jinheñ ham bilkul dekhnā nahīñ chāhte vahī kyuuñ musalsal dikhā.ī de rahe hote haiñ
chāhiye to ye thā ki ham apne fuzūl dil ko kisī ḳhairāt-ḳhāne meñ rakh chhoḌte
to ḳhairāt dene vaale ḳhairāt ke saath hiqārat bhī baañT rahe hote
agar zamīn bhar ke peḌ ek ug kar dobāra na ugte
to saath chalne yā saath rahne kā ahd koī bhī nahīñ kartā
nābūd buud ko aur buud nābūd ko ḳhair-bād kah chukā huuñ
tab koī kisī na pūchhtā ki kaun kyā hai kyuuñ hai kaise hai
namāz to faqat niyyat hai magar sire se niyyat hī nahīñ kī ga.ī
kaash kufr hī sachchā hotā
aisā huā hī nahīñ ki aaj tak paanī ne paanī ko aa liyā
aur aag ko aag lag ga.ī
mohabbat ko agar mohabbat lāhaq ho jaatī to koī nāhaq jī nahīñ rahā hotā
āḳhir aisī mausīqī kahāñ hai jo āvāz aur samā.at se māvarā ho
jiwan to isi shash-o-panj mein guzar jata hai
duniya rahne ki jagah hai bhi ya nahin
wo log jin se hum bilkul milna nahin chahte wahi hum se kyun musalsal mil rahe hote hain
jinhen hum bilkul dekhna nahin chahte wahi kyun musalsal dikhai de rahe hote hain
chahiye to ye tha ki hum apne fuzul dil ko kisi KHairaat-KHane mein rakh chhoDte
to KHairaat dene wale KHairaat ke sath hiqarat bhi banT rahe hote
agar zamin bhar ke peD ek ug kar dobara na ugte
to sath chalne ya sath rahne ka ahd koi bhi nahin karta
nabud bud ko aur bud nabud ko KHair-baad kah chuka hun
tab koi kisi na puchhta ki kaun kya hai kyun hai kaise hai
namaz to faqat niyyat hai magar sire se niyyat hi nahin ki gai
kash kufr hi sachcha hota
aisa hua hi nahin ki aaj tak pani ne pani ko aa liya
aur aag ko aag lag gai
mohabbat ko agar mohabbat lahaq ho jati to koi nahaq ji nahin raha hota
aaKHir aisi mausiqi kahan hai jo aawaz aur samaat se mawara ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.