KHak-e-parwana
chitā ko jab tirā ThanDā badan sauñpā gayā hogā
sharāre khul ga.e hoñge dhuāñ lahrā gayā hogā
qazā ko sharm ke maare pasīna aa gayā hogā
ye manzar dekhne vāloñ se kab dekhā gayā hogā
mohabbat ke parastāroñ vafā ke sogvāroñ ne
nigāheñ pher lī hoñgī tire mātam-gusāroñ ne
nazāre shahr-o-sāhil ke pareshāñ ho ga.e hoñge
Dhalī hogī jo shām-e-ġham sitāre so ga.e hoñge
shuā.eñ bujh ga.ī hoñgī ujāle kho ga.e hoñge
tirī ThanDī chitā par shab ke saa.e ro ga.e hoñge
ugā hogā jo puurā chāñd dhabbā ban gayā hogā
siyah āñchal sā jamunā ke kināre tan gayā hogā
tamāshe zindagī-bhar tū ne soz-e-dil ke dekhe the
ġhubār-e-rahguzar meñ rāste manzil ke dekhe the
nazāre halqa-e-girdāb se sāhil ke dekhe the
tirī āñkhoñ ne jitne ḳhvāb mustaqbil ke dekhe the
na.ī paud aaj in ḳhvāboñ kī zimma-dār hotī hai
na ghabrā marne vaale zindagī bedār hotī hai
tirī fikroñ ke dhāre bah chale gang-o-jaman ban ke
tire ādarsh ne dhartī ko Dhāñkā hai gagan ban ke
tire dil ke lahū se khil ga.ī miTTī chaman ban ke
vatan kā gosha gosha muskurā uTThā dulhan ban ke
tirī sūrat kisī ko jāvedāñ hote nahīñ dekhā
kisī qatre ko itnā be-karāñ hote nahīñ dekhā
tirī guftār meñ bād-e-sabā kī gul-fishānī thī
tire afkār meñ dariyā ke paanī kī ravānī thī
tirī tahzīb ik ahd-e-mohabbat kī nishānī thī
tirī zaat ek daur-e-jehd kī zinda kahānī thī
bahut mushkil hai koī yuuñ vatan kī jaan ho jaa.e
tujhe phailā diyā jaa.e to hindostān ho jaa.e
zamīñ mātam-kada hai āsmāñ terā azā-ḳhāna
tire phūloñ se mahke dasht-o-dariyā shahr-o-vīrāna
havā meñ terī ḳhushbū pāniyoñ meñ terā afsāna
fanā ho kar fanā hotī nahīñ hai ḳhāk-e-parvāna
kiran ban kar harīm-e-vaqt kī chilman se chhantī hai
yahī miTTī simaT kar phir nayā parvāna bantī hai
chita ko jab tera ThanDa badan saunpa gaya hoga
sharare khul gae honge dhuan lahra gaya hoga
qaza ko sharm ke mare pasina aa gaya hoga
ye manzar dekhne walon se kab dekha gaya hoga
mohabbat ke parastaron wafa ke sogwaron ne
nigahen pher li hongi tere matam-gusaron ne
nazare shahr-o-sahil ke pareshan ho gae honge
Dhali hogi jo sham-e-gham sitare so gae honge
shuaen bujh gai hongi ujale kho gae honge
teri ThanDi chita par shab ke sae ro gae honge
uga hoga jo pura chand dhabba ban gaya hoga
siyah aanchal sa jamuna ke kinare tan gaya hoga
tamashe zindagi-bhar tu ne soz-e-dil ke dekhe the
ghubar-e-rahguzar mein raste manzil ke dekhe the
nazare halqa-e-girdab se sahil ke dekhe the
teri aankhon ne jitne KHwab mustaqbil ke dekhe the
nai paud aaj in KHwabon ki zimma-dar hoti hai
na ghabra marne wale zindagi bedar hoti hai
teri fikron ke dhaare bah chale gang-o-jaman ban ke
tere aadarsh ne dharti ko Dhanka hai gagan ban ke
tere dil ke lahu se khil gai miTTi chaman ban ke
watan ka gosha gosha muskura uTTha dulhan ban ke
teri surat kisi ko jawedan hote nahin dekha
kisi qatre ko itna be-karan hote nahin dekha
teri guftar mein baad-e-saba ki gul-fishani thi
tere afkar mein dariya ke pani ki rawani thi
teri tahzib ek ahd-e-mohabbat ki nishani thi
teri zat ek daur-e-jehd ki zinda kahani thi
bahut mushkil hai koi yun watan ki jaan ho jae
tujhe phaila diya jae to hindostan ho jae
zamin matam-kada hai aasman tera aza-KHana
tere phulon se mahke dasht-o-dariya shahr-o-virana
hawa mein teri KHushbu paniyon mein tera afsana
fana ho kar fana hoti nahin hai KHak-e-parwana
kiran ban kar harim-e-waqt ki chilman se chhanti hai
yahi miTTi simaT kar phir naya parwana banti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.